Saturday 8 October 2022

DUA



 Duniya bana kaar jab rab ne socha kuch aaram karte h. bana li duniya maine kuch kaam fursat ke karte h. rab ne puri duniya ka nur liya use ek sisi mai utar diya. na jane khuda k man mai aaya, usne ek bahut hi hasin chehra banaya . jise dekh khuda khud bhi muskuraya duniya se laya hua nur uske chehre par lagaya . jab laga vo usme jaan fukne thoda ruka aur laga ye sochane . kitna pyara kitna hasin chehra to maine banaya h.
par ise duniya ki nazaro se bhi bachana h . tab jakar usne hame banaya aur duniya ki sabse hasin chehre se milaya . uske dil mai mere liye pyar ko jagaya use mere dil mai bhi basaya.








No comments: